Waapas Milenge Wahi Lyrics from Waapas Milenge Wahi Song is New Hindi Song sung by Naam Sujal with music also given by Eyepatch. Waapas Milenge Wahi song lyrics are written by Naam Sujal
Song Details:-
Song Title:- Waapas Milenge Wahi
Artist:- Naam Sujal
Composer:- Naam Sujal
Lyricist:- Naam Sujal
Music:- Eyepatch
“Waapas Milenge Wahi Lyrics”
Naam Sujal
Kaarigar yeh kare saari had′e paar aur taali baje jab
Tab waha teri hatheli naa deti dikhaayi toh jaal hi lage sab
Khot jo dil mein daboch ke rakha toh zabaan pe naa hi rakhe abb
Kyunki krodh yeh sil deta oth, tere ghusse ke aage hum kya hi kahe jaana
Yeh gaana bas tere liye, zamaana hai isse samajhne ke kaabil nhi
Haa maana safarnama bharaa, waha karne khatam panne mil rha thha sahil nhi
Aur pohochke ret ke tilo pe karle bharosa tu itni hai jaahil nhi
Par unn tilo ko baanane waale unn haathon mein kile aur zakham aur gile aur sharam
Woh neele aur naram aur chhile aur marham naa mile toh kalam bas ghot
Aadatein de meri sharam se noch
Uss ghaav ko puraane karam se pochh par
Maanu naa galtiyaan apni, apne darmiyaan khada guroor hai
Saala bada kasoor hai, mai insaan awaara bas kalaa mashoor hai
Aur mai jaanu jaana aapke aansu rukenge inn gaano se nhi
Aur mai maanu ki khaamiyaan dono mein hai itne saalo se kayi
Par mai sochu ki kal honga behtar
Mai sochu ki kal honga sahi
Mai sochu ki itna sab sehkar
Hum waapas milenge wahi
Jaha bas khilenge aapas mein rehke laaparwah dil yeh do
Par Ibaadat dil’o ki chahkar bhi lenge naa kar haasil yeh log
Toh reh befikar
Ghabraane ki chhod de kasar
Aake kholde nazar baaki bolde gazal
Meri god tera sar
Mere haath teri zulfe kinaare kare
Aankho ke ghere hai kaale pade
Par inn aankho se saare maikhaane dare
Aur mai jaanu woh dete hai taane bade
Tu sunti, sehti zyaada kehti kamm hai
Roz marke tu marzo ke karze jo napaak chukaaye
Yaha hu tere saath jaata mai bhi sehem
Jab jab teri maa pe tera baap haath uthaaye
Hum laakh aas lagaaye ki kaash aaj jagaaye
Ek awaaz, bataaye ki shraap hatt chuka hai
Aur waapas mud aaye tu jaha par khada hai yeh
Laaparwah teri raah par jhuka hai
Sochu tere saath baitha hu
Tere ghaavo pe haath sehlaau
Aur cheezo jo dil mein dabi kabhi oth yeh kaanpe unhe kaash keh jaau par
Mai jaanu jaana aapke aansu rukenge inn gaano se nhi
Aur mai maanu ki khaamiyaan dono mein hai itne saalo se kayi
Par mai sochu ki kal honga behtar
Mai sochu ki kal honga sahi
Mai sochu ki itna sab sehkar
Hum waapas milenge wahi
“THE END”

