Taare Lyrics – Farak, Saswat Balan

Taare Lyrics - Farak, Saswat Balan

Song Details:-
Song Title:- Taare
Performed By:- Farak, Saswat Balan
Written & Composed – Farak
Performed by – Farak, Saswat Balan
Music produced by – 10A
Music direction by – Farak
Backing Vocals by – 10A, Rohit Gaira, Major
Mixed & Mastered by – 10A
A&R by – Chetanya Hakim


“Taare Lyrics”

Farak, Saswat Balan

Humara thokaron se kuch purana khaas naata hai
Hai jisne ishq hi dekha na vo rab ka dulara hai

Humara thokaron se kuch purana khaas naata hai
Hai jisne ishq hi dekha na vo rab ka dulara hai

Ab Haal-e-dil to na poocho
batate dar sa lagta hai
Is khaali ghar ko na looto
ye buzdil sar patakta hai

Vo ghar chhoota hai jab se Kambhakhat koi aasra na hai
Ye kaagaz kaanpta jab hote dil ke ghaav taaza hain

Ke lafz kuch aise hain
Gawaya is qadar ke
Gaur farmaiyega
Gawaya is qadar ke

Paane ko ab kuch bacha na hai
Parinda kaid pinjre mein
Parinda kaid pinjre mein
Use dar aasmaan ka hai

Gawaya is qadar ke paane ko ab kuch bacha na hai
parinda kaid pinjre mein use dar aasmaan ka hai

Jo bikhra toot ke fir vo
Samete na simat ta hai
Hain partein is qadar dil pe
Taraashe na nikharta hai

Halaaton se liya jab bair to har, daav haara main
Asal mein jeena mushkil Maut ka bas naam zyada hai
Ye kandhe jhuk rahe hai ummeedon ka bhaar zyaada hai

Andhere mein pala jo dar use bas roshni ka hai
Asal mein jeena mushkil maut ka bas naam zyada hai

“THE END”


Farak – Taare | Official Music Video |

#Taare #Lyrics #Farak #SaswatBalan

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

18 + 20 =