Kaash Lyrics – Dhruv Tokhi

Kaash Lyrics - Dhruv Tokhi

Song Details:-
Song Title:- Kaash
Artist:- Dhruv Tokhi


“Kaash Lyrics”

Dhruv Tokhi

Kaash aisa hota,
Zakham lagta par na mehsoos hota
Kaash aisa hota,
Ishq hota par dil mehfooz hota

Koi dil se dil laga kar
Gumnaam nahi hota
Kho gaye banke behki si fizaa

Tu mila agar na hota,
Dil bekasi na sehta
Tum mile aur kar gaye ho fanaa

Na kabhi malaal hota,
Agar tu mila na hota
Nafratein dil mein bhar gayi
Khamakha

Jis raste par main chal raha tha,
Roshan na tha kuch, bas kala saya tha
Mujhko laga tha bas tum the mere,
Tumko chahne ka gham hi sila tha

Kya khoya, kya hi tha paaya,
Saansein kam, dil bhi gavaya
Hota na adhura yeh silsila

Ashq raqt ban na behta,
Agar tu mila na hota
Tum mile aur kar gaye ho fanaa

Na kabhi malaal hota,
Agar tu mila na hota
Nafratein dil mein bhar gayi
Khamakha

Ki wafa wafa ke badle mila kya,
Dil mera bebas, bas dard bhara tha
Ishq mein kabhi fanaah na hua tha,
Tum jo mile aur sab lut gaya tha

Mera raha hi na, kuch bacha hi na,
Jo tha ab sab hai tabah

Bhule-bhulaye na, yaadein yeh jaaye na,
Yaadein kyun hoti na juda

Dil yeh pagal na hota,
Agar tu mila na hota
Tum mile aur kar gaye ho fanaa

Na kabhi malaal hota,
Agar tu mila na hota
Nafratein dil mein bhar gayi
Khamakha

“THE END”


Dhruv Tokhi – Kaash (Official Music Video)

#Kaash #Lyrics #DhruvTokhi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

4 × 3 =