Ek Din Chaahiye Lyrics - Danny Ke Dose – Lyricsilly

Ek Din Chaahiye Lyrics – Danny Ke Dose

Ek Din Chaahiye Lyrics - Danny Ke Dose

Song Details:-
Song Title:- Ek Din Chaahiye
Artist:- Danny Ke Dose
Written By:- Danny Ke Dose
Composed By:- Danny Ke Dose


“Ek Din Chaahiye Lyrics”

Danny Ke Dose

Jahaan sukoon se shuru ho subah
Jahaan fursat se rakhi ho ek shaam
Chat par akele baith kar dekha ho
khula aasmaan

Mujhe aisa ek din chahiye

Khuli in aankhon mein kuch khwaab sukhte hue
Kuch waqt ki is daud mein yun choot’te hue
Khwaahishein ab hain gumshuda

Hai waqt, zindagi ya main kat raha yahaan
Hai saath kuch ya hai sab kuch dhuaan yahaan
Shaunk mere baithe mujhse hain khafa

Wo din dhoonde mujhe
Yahaan main hoon bepata

Jahaan na ho kal ka koi khayal
Dhalti shaam ho aur mere chaar yaar
Ya ek raat ho bass main hoon
aur pee loon behisaab

Mujhe aisa ek din chaahiye
Mujhe aisa ek din chaahiye
Mujhe aisa ek din chaahiye

“THE END”


Danny Ke Dose – Ek Din Chaahiye (Official Music Video)

#EkDinChaahiyeLyrics #DannyKeDose #Lyricsilly

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

twelve − two =

close