Song Details:-
Song Title:- Sindoor Se
Singer:- Sneha Shankar, Ajay Gogavale
Music: Ajay – Atul
Music, Composed, Arranged, Conducted, Produced by – Ajay – Atul
Lyrics: Amitabh Bhattacharya
“Sindoor Se Lyrics”
Sneha Shankar, Ajay Gogavale
Sindoor se rang de jiya
Berang hoon main kab se piya
Bujhne lagi thi lau meri
Raushan hua hai tujh se diya
Bani hai zindagani
Prem kahani..
Jab se bharosa tujh pe kiya
Sindoor se rang de jiya
Berang hoon main kab se piya
Sindoor se…
Jab se ho aaye
Madhumaas laaye
Har din mujhe yun lage
Jaise tyohaar hai
Sajna sanvarna
Phir se suhaaye
Lauti mere ghungruon
Mein bhi jhankaar hai
Bedili ho gayi thi suron se inhein
Sur mein phir dil ka har taar hai
Keh ke teri ardhaangini
Poora mujhe tu kar de piya
Sindoor se…
Bhatke musaafir ko ghar mila hai
Jabse tere aangne mein rakhe paanv hain
Chain ki saansein maine bhi li hain
Jabse tere gesuon ki mili chhaanv hai
Ho jahan pe bhi chaahe basera tera
Ab mera bhi vahi gaanv hai
Sajni tere iss pyaar ko
Kabse tera ye tarse piya..
Sindoor se rang de jiya
Berang hoon main kab se piya
Bani hai zindagani
Prem kahani..
Jab se bharosa tujh pe kiya
Sindoor se rang de jiya
Berang hoon main kab se piya
Sindoor se…
“THE END”
EETHA – Sindoor Se (Official Video) | Shraddha K, Randeep H | Ajay-Atul, Sneha S,Amitabh B | 4th Dec
#SindoorSeLyrics #EETHA #SnehaShankar #AjayGogavale #ShraddhaK #RandeepH #Lyricsilly

